Wednesday, February 17, 2010

Gher Muslim Khatoon Se Nikah

Ek Haqeeqi Masla:

Assalam'u'Alaikum;

Hazrat ek shakhs ne ek gher muslim khatoon se nikah kya nikah se pehlay is khatoon ne apne apko Ahle Kitab zaher kya bad me ye Khatoon budhist nikli yani mushriqa ab masla ye he kya is shakhs ka naikah is khatoon ke sat fasaq hogaya or kya is ke bache jo is khtaoon se the apne bab ke warasit me hase dar hosakte hen or kya ye bache halali hen yani jaez or agr ye khatoon qabool islam kar len to kya ose dobara nikah kar na pare ga ya osi naikah per qaim rah sakte hen? Hazrat foran jawab dar kar he masla haqeeqi he



Jawab (Answer):

WaAlaikumussalam

Aajkal ager koi haqeeqi manon main ahl-e-kitab aorat mil bhi jae tab bhi us se nikah makrooh-e-tahreemi hay , agercheh nikah hojaega laikin gunah milay ga , lihaza is se Ehteraz krna chahiay

ab soorat-e-mas'oola main jab nikah k waqt wo aorat muslman nhi thi to nikah siray se Munaiqd hi nhi hua

jesa k Fatawa-e-Amjadia k mundarija-e-zail fatway se zahir hay




Shan-e-Burhaniyat Or Mehfil-e-Milad